PDA

View Full Version : Urdu Ghazal aur ashaar



Pages : [1] 2

Degrian
11-16-2009, 12:54 PM
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usey Kehna
Kabhi Mile To Yeh Baat Usey Kehna

Woh Saath Tha To Zamana Tha Hamsafar Mera
Magar Ab Koi Nahi Mere Saath Usey Kehna

Usey Kehna Ke Bin Uske Din Nahi Kat'ta
Sisak Sisak Ke Kati Hai Raat Usey Kehna

Usey Pukaroon Ke Khud Hi Ponhach Jaoon
Nahi Rahi Ab Woh Baat Usey Kehna

Agar Woh Phir Bhi Na Laut Aay Qaasid!
Hamari Zeest Ke Haalat Usey Kehna
***------------------***

Degrian
12-01-2009, 10:38 AM
Koi Waqt Purana Yaad Aya,
Koi Daur Suhana Yaad Aya,
Aur Chaak Say In Dewaroon Par,
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aya,
Tera Milna Neem Ke Chaoon Mein,
Aur Sar Rakh Dena Kandhay Par,
Mera Yeh Kehna Koi Dekh Na Lay,
Tera Wo Ghabrana Yaad Aya,
Kabi Aisay Bhi Tou Hota Tha,
Main Tum Say Milnay Jati Thi,
Jib Wapis Anay Lagti Thi
Tera Hath Hilana Yaad Aya,
Wo Waqt Gya Lmhay Beet gay,
Ab Hir Janib Tanhai Hey,
Wo Eik hi Manzar Ankhon Main,
Tera Chorr K Jana Yaad Aya..
#***____________________***#

oldisgold
12-07-2009, 03:15 PM
zindgi kuch bhii nhain hay tery bina koi us ko ja k batay na
nahain mill saktay bahrii dunia main tou khavab a k jaya na

pll sweet heart plll

oldisgold
12-07-2009, 03:21 PM
yeh adat per gi hay k subah sham liktha hoon
tumhain dilber tumhain muhsin tumhain gulfam liktha hoon
main hatoon per darkhtoon per kitaboon per devaroon per
jabb bhii likhoon jahan bhii likhoon(hu)tumhara name likhta hoon



my sweet heart only 4 u

i miss u so much dear

your,s lover

jaan

oldisgold
12-07-2009, 03:24 PM
ajnabii taha tou rooz mila karta taha jaan
jab say ihsas delia tou milna hi chour dia

u rember my jaan

Degrian
04-15-2010, 03:23 PM
اک عجیب سا نصاب مانگتی ہے زندگی
خزاں رتوں میں بھی گلاب مانگتی ہے زندگی
حقیبتوں کا دشت چاہے جس قدر ہو مستند
کبھی کبھی حسیں خواب مانگتی ہے زندگی

SilverStar
04-16-2010, 10:08 PM
Kia baat hai....awesome :D

Good work Degrian

coolboy
04-20-2010, 02:49 PM
Khultaa Kissi Pay Kyun Mere Dil Ka Mamlaa
Shair'on Kay Intikhab Nay Ruswaa Kiya Mujhy
####______________________####

coolboy
04-28-2010, 01:24 PM
koi dhundla sa ik chahra meri ankhon main rehta hai,,,,
koi bhatka sa ik jugnu meray khawabon main rehta hai,,,,

ik manoos si awaz mujhay sonain nahi daiti ,,,,,
koi uljha saa ik jumla meri yadoon main rehta hai,,,,

hai kisi k shabnami anchal ki khushbu ab talak mujh main,,,
koi ahsas sa sa mehka meri sanson main rehta hai,,,,,

mujhay khud par nahi qaabu main kuch bol sakta hun,,,,
asar yea kis k lafzon ka meri baton main rehta hai,,,,,

desember ki khanak raatain mujhay bechain rakhti hain,,,,
lams ik hath ka ab tak meri meri sochon main rehta hai,,,

hai dil bhi muztarib ahsas bhi sochon ki uljhan bhi,,,,,
yea kis ankh ka ansoo meri sochon main rehta hai,,,,
**##_____________________________##**

Degrian
05-04-2010, 01:31 PM
*شعر**
اجڑے ہوےلوگوسےگر‏یزاں نہ ہواکر
حالات کی فبروں کی کیتابیں بہی پڑهاکر
هر وقت کا هنسنا تجهے برباد نہ کر دے
تنھائ کے لمهوں میں بھی رو بھی لیاکر
****___________________****

faraz_ameem
05-30-2010, 06:27 AM
Be rehmi se hi sahe magar kuch bola to karo Mohsin......
Chup rehte ho to nafrat ka guman hota ha!

Sarkar
05-30-2010, 05:41 PM
Khudi ko kar buland itna ke her taqdeer se pehlay
Khuda banday se khud poochay bata tairi raza kya hey

faraz_ameem
05-30-2010, 08:34 PM
Adat he Bana li hay tu ne to MUNIR Apni

Jis Shehr ma rehna, Oktaye huay rehna

babursuleman
05-30-2010, 09:20 PM
-----------------------------------------------------------------------------
***^^^^MAT BANA^^^^***
*apny LABON ko DUSHMAN-E-IZHAR mat bana
*sachy hain jo unhen GUNAH'GAR mat bana
*jitny bhi LAFZ hain woh mehkty gulab hain
*LEHJY k farq sy unhen TALWAR mat bana
*ILZAM kch to GARDISH-E-AYYAM ko b dy
*apny har ik GHAM ko GHAM-E-YAR mat bana
*har aik k liy KHULA mat rakh isy QATEEL
*ye DIL aik GHAR hai isy BAZAR mat bana

babursuleman
05-30-2010, 09:22 PM
AAnkh se aankh mila baat banata kyun hai
Tu ager muj se khafa hai to chupata kyun hai
Ghair lagta hai na apno ki terha milta hai
Tu zamanay ki terha muj ko satata kyun hai
Waqt k sath halaat badal jatay hain
Ye haqiqat hai
mager mujko sunata kyun hai
Aik muddat se jahan kaaflay guzray he nahi
Aisi rahon per chiraghon ko jalata kyun hai !!

faraz_ameem
05-31-2010, 06:04 AM
Suna Ha Yaad Kartay Ho...
K Jasb sham Dhalti ha...Hijar ma Jaan Jalti Hy
Tum Apni Raat Ka Aksar Sakoon Barbad Krty Ho
Suna Hy Yaad Karty Ho...
K Jb Panchi Loat atay Han, Ghamon k Geet Gatay Hian

Suno! Tum Loat AAo na...Yehi Faryad Kartay Ho
Suna Hy Yaad kartay Ho...

Sitary Jb Falak pe Jagmagaty Hain,
Wo beetay Huay Pal khoob Rulatay Hain
Tum Os Dam Apni Ankhon Ma mujhe Abad karty ho

Suna Ha Yaad Karty Ho! Mujhe Tum Yaad Karty Ho....!

babursuleman
05-31-2010, 07:08 AM
Suno ae chaand si larki...

Abhi tum keh rahi thi na....

Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti....

Chalo mana k yeh such hai....

Magar ae chaand c lerki....

Mujhe itna batao tum....

K jub mosam badalte hain....

Gulon main rang bharte hain....

To phir kiun muztarib ho kar....

Akele pan se ghabra kar....

Hawa ko raaz deti ho....

Mu...jhe awaaz deti ho....

Suno ae chaand c lerki..

Tumhare saamne koi mera jub naam leta hai...

To phir kiun chonk jaati ho..

Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti..

Magar itna samajh lo tum..

Jahan chahat nahi hoti..

Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota..

Mera dawa hay chahat main..

Jahan nafrat nahi hoti..

Wahan aksar ye dekha hai..

Agar kuch waqt kut jaye..

Samay ki dhool chat jaye..

To wehshat bhaag jati hai..

Muhubbat jaag jati hay....!!!

Perdaisi
05-31-2010, 10:25 AM
sah haRfi ik lufZ faqat jo hijaR ko samjaY kia samjaY
aksaR aik he chinghaRi ne jungle aaN jalaieY thaY
chaalni kis ne dil kaR dala ye keoN kaR batlaiN hum
samjo saray haath apnaY saRay teeR puranaY thaY

coolboy
05-31-2010, 10:29 AM
uh jis ko jazboN ki har Laher nay
theheR kay pooja kahaN nahiN hay
tou shehr-e-aqL kay baasioN ko
yeh kyuN yaQeeN hay yahaN nahiN hay

tumhi ko dekha, tumhi ko socha,
tumhi ko chaaha, tumhaiN na payaa
muhabatoN kay Hazaar rastay
koii bhii manziL jahaN nahiN hay

yeh kya ke tum nay kisi say puuchi
humaray diL ki wuh sab kahani
keh jiss ka meh-ram siwa tumharay
koi bhi humdam yahaN nahiN hay

hamaare dil ki in dharkanoN say
kaho ke chup yeh rahaiN Khudara
yahaN pay gooNji haiN furqataiN hi
milan ka naghma yahaN nahiN hay

ek umr guzri ke zard Rou hay
hamaray jazboN ka garm jungal
khizaaN ka mausam hay kaesa mausam
keh jiss pay ab tak khizaN nahiN hay

mohabatoN meiN yaqeeN ki hud say
guzar kay ab maiN wahaN khaRi huuN
jahaN tumhaaray kisi qadam pay
jafa ka hargiz gumaN nahiN hay

naine
05-31-2010, 05:07 PM
@ faraz.......................ksi se suna hy g?

waseeb
06-01-2010, 06:30 AM
rugoon ke under sulgtey hoyey juzbey ki
Akhir shub janey kioon eik chheekh si uthi hey

Aik maan sa kahin pe phir se toota lugta hay
Phir zinda honey ki ik ummed si tooti hey

Beti ki mely chadder wali maan phir se kahin
us asmat ke raigan janey ka lahoo rooti hey

Ager tery mutti mein aey Surzameen -e- Pak
Koi rashid nahi bacha koi amna nahi rehti

ager teri fizaoon mein aey mere watan-e-aziz
Aub sirf gader -e- watan Laho bekhrein gey

maan ke chader pe rahim kha tu bunjer ho ja
Muje janam deney waley tu bunjer ho ga
Tu bunjer ho ja

*Rashid Minhaas
**Salute to Pakistan Army

faraz_ameem
06-01-2010, 11:57 AM
Ho gai Dil Ko Teri Yaad sy ek Nisbat-e-Khas

Ab Tu Shaid He Mayassr Kbhe Tanhai Ho...

Perdaisi
06-02-2010, 10:57 AM
ek khushi dil ne kia maang li
meri har khushi ko nazar lag gyi
*****************

Degrian
06-02-2010, 11:39 AM
~mujhaY kis jurm ki saza mili k meRi rooh taak hai thaki huwi
maiN apni jaga se hila nahi meRi saans phiR be ukhaR gaye~

faraz_ameem
06-03-2010, 08:26 AM
Munir Niazi
ah! ye baaraanii raat

mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat

shash-jahat par tiirgii uma.Dii huii

ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat

aur merii khi.Dakii ke niiche

kaa.Npate pe.Do.n ke paat

chaar suu aavaaraa hai.n

bhuule bisare vaaqayaat

jhakka.Do.n ke shor me.n

jaane kitanii duur se

sun rahaa huu.N terii baat

faraz_ameem
06-03-2010, 08:27 AM
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

zaruurii baat kahanii ho
koii vaadaa nibhaanaa ho
use aavaaz denii ho
use vaapas bulaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

madad karanii ho usakii
yaar kii dhaa.Das ba.Ndhaanaa ho
bahut deriinaa raasto.n par
kisii se milane jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

[deriinaa=very old/praachiin]

badalate mausamo.n kii sair me.n
dil ko lagaanaa ho
kisii ko yaad rakhanaa ho
kisii ko bhuul jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

kisii ko maut se pahale
kisii Gam se bachaanaa ho
haqiiqat aur thii kuchh
us ko jaa ke ye bataanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

faraz_ameem
06-03-2010, 08:29 AM
Hasti hi apani kya hai zamane ke samane

Ek khwab hai jahaa main bikhar jayeN hum to kya

naine
06-03-2010, 08:34 AM
apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N

naine
06-03-2010, 08:37 AM
(1 of ma most favorites)

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

Degrian
06-04-2010, 09:45 AM
Baharon ki mujhko zaroorat nahi hai,
Nazaron ki mujhko zaroorat nahi hai,

Akele chale the , akele chloongee,
Hazaron ki mujhko zaroorat nahi hai,

Zameen ki ye raunak mujhe bhaa gai hai,
Sitaron ki mujhko zaroorat nahi hai,

Mujhe raas aata hai lehron se ladna,
Kinaron ki mujhko zaroorat nahi hai,

Mai jaante hoon , haqeeqat tumhaari,
Isharon ki mujhko zaroorat nahi hai,

Wo rahein saath,mere yoon hi ,
Saharon ki mujhko zaroorat nahi hai,
**************

Degrian
06-04-2010, 10:49 AM
DUA

meri qismat main bhi aisa koi sajda ker day
jo mere saray gunaho ka madawa ker day

sari duniya say chura ker' mujhay apna ker day
meri mitti ko bhi ' RAB mere tu sona ker day

mey tera chahnay wala hun ' magar hai hasrat
jinko tu chahta hai ' mujhko bhi waisa ker day

ek nazar apnay gunahgar pe ker k MOLA
apni rehmat ka sazawar hamesha ker day

jis taraf jaon ' faqat tere hi jalway daikhun
shoq-e-ulfat ko mere ' had say tu zyada ker day

Ameen sum Ameen

faraz_ameem
06-04-2010, 02:52 PM
آج اداس ہوں تو کسی نے بھی آواز نہیں دی محسن

یہ مٹی کے پتلے کسی سے وفا نہیں کرتے

faraz_ameem
06-04-2010, 02:54 PM
مجھ میں بے لوث محبت کے سوا کچھ بھی نہں محسن
تم اگر چاہو تو میری سوچوں کی تلاشی لے لو ۔

Degrian
06-04-2010, 04:29 PM
***WAFA is ko nahi kehte***

"WAFA" is ko nahi kehte
"WAFA" kuch or hoti he.
"MOHABBAT" karne walon ki
"ADA" kuch or hoti he.
Tumhein "DEKHA"
Tumhein "CHAAHA"
Tum hi se "PYAAR" kar bethe.
Suno "PATHAR" ke Dil waalo
"MOHABBAT" esi hoti he
Agarche "GHAM" ki maari hoon
Magar "TUM" ko na bhooloon gi.
Ke "DEEWANO" ke "HONTON" par
"DUA" kuch or hoti he
"TADAP" uthe gi ye duniya
Agar roye ga "DiL" mera.
Ke "DIL" se jo nikalti he wo
"SADA" kuch or hoti he.
*_______________________*

Degrian
06-04-2010, 04:32 PM
میں ایسی محبت کرتا ہوں - تم کیسی محبت کرتی ہو


تم جہاں بھی بیٹھ کہ جاتی ہو
جس چیز کو ہاتھ لگاتی ہو
میں وہیں پہ بیٹھا رہتا ہوں
اس چیز کو چھوتا رہتا ہوں
میں ایسی محبت کرتا ہوں
تم کیسی محبت کرتی ہو

تم جن سے ہنس کر ملتی ہو
میں ان کو دوست بناتا ہوں
تم جس رستے پر چلتی ہو
میں اس سے آتا جاتا ہوں
تم جن کو دیکھتی رہتی ہو
وہ خواب سرہانے رکھتا ہوں
میں تم سے ملنے جلنے کے
کتنے کی بہانے رکھتا ہوں
کچھ خواب سجا کر آنکھوں میں
پلکوں سے موتی چنتا ہوں
کوئی لمس اگر چھو جائے تو
میں پہروں اس کو سوچتا ہوں
میں ایسی محبت کرتا ہوں
تم کیسی محبت کرتی ہو

جن لوگوں میں تم رہتی ہو
تم جن سے باتیں کرتی ہو
جو تم کو اچھے لگتے ہیں
وہ مجھ کو اچھے لگتے ہیں

جس باغ میں صبح کو جاتی ہو
جس سبزے پر تم چلتی ہو
جو شاخ تمہیں چھو جاتی ہے
جو خوشبو تم کو بھاتی ہے
وہ اوس تمہارے چہرے پر
جو قطرہ قطرہ گرتی ہے
وہ تتلیاں چھوڑ کے پھولوں کو
جو تم سے ملنے آتی ہیں
ان سب کے نازک جذبوں میں
میرے دل کی دھڑکن بستی ہے
تم پاس رہو یا دور رہو
نظروں کے سامنے رہتی ہو
میں تم کو تکتا رہتا ہوں
میں تم کو سوچتا رہتا ہوں
میں ایسی محبت کرتا ہوں
تم کیسی محبت کرتی ہو

ہر موقع پر ہر منظر میں
میں ساتھ تمہارے رہتا ہوں
میں چشم تصور میں اکثر
بس تم کو دیکھتا رہتا ہوں
بس تم کو سوچتا رہتا ہوں
میں ایسی محبت کرتا ہوں
تم کیسی محبت کرتی ہو
**********************

faraz_ameem
06-05-2010, 02:14 AM
isy mohabbat nh deewana pan kehty hain....lol

faraz_ameem
06-06-2010, 07:05 PM
Sharab pene de mujh ko Masjid ma beth kar GHALIB...

Ya woh jaga bata jahan Khuda nahe
(Ghalib)

faraz_ameem
06-06-2010, 07:08 PM
Masjid Khuda ka ghar hai Peene ki jaga nahe...

Kafir k dil ma ja wahan Khuda nahe...

(Iqbal)

faraz_ameem
06-06-2010, 07:11 PM
Kafir k dil aya hun ma ye daikh kar...

Khuda majood hay wahan, Osy pata nahe...!

(Faraz)

Degrian
06-07-2010, 04:09 PM
TERY DIL KAY DARD KO DEKH KAR, MERY DIL ME'N DARD HA KIS LIYE


ussi aik shakhs kay wastay mery dil me'n dard ha kis liye
meri zindagi ka mutalba wohi aik fard ha kis liye

na jamal-o-husn ki bazm ha, na jano-o-ishq ka azm ha
sir-e-dasht raqs me'n har ghari, koi bad'gard ha kis liye

jo likha hai mery naseeb me'n, kahi'n tu nay parh to nahi liya
tera hath sard ha kis liye, tera rung zard ha kis liye

woh jo tarq-e-rabt ka ehd tha, kahi'n toot'nay to nahi laga
tery dil kay dard ko dekh kar, mery dil me'n dard ha kis liye

=============================================

Degrian
06-07-2010, 04:11 PM
Wo Aik Khat

Wo Aik Khat, Jo "Us" ne Kabhi Likha Hi Nahi
Main Rozz Beth Kar, Us ka Jawab Likhta Hoon

**********************

Degrian
06-07-2010, 04:14 PM
**Is zindagi mein koi pal to aisa ho jo tera mera ho**

Is zindagi mein koi pal to aisa ho jo tera mera ho,

jis me koi tesra na ho,

hum dair tak aik dosre se batain karien,

Un baton ko sunney wala koi na ho,

aur baton me hi raat dhal jaye,

bas may or tum hon,

u hi bethy bethy kisi bhi choti si

baat pe hum betahasha hans perien,

hansty hansty ankho se aanso nikal parien,

In aanson ko saf karne wala koi na ho bus may or tum hon
=====================================

faizanijaz
06-07-2010, 04:52 PM
main ne jab hosh sanbhala to sanbhala tujh ko

tu ne jab hosh sanbhala to sanbhalne na diyaa.......

faraz_ameem
06-07-2010, 05:44 PM
~ ♥ ~Ay Dost Hum Ne Tark-e-Taluq Ke Baad Bhi....

Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhie Kabhie~ ♥ ~

Degrian
06-10-2010, 09:55 AM
Ajnabi faza'on mein, ajnabi musafir sy,
Apnay har taluq ko da'emi bna lena,
Totna jab us ka to mangna dua'on ka,
Reet is nagar ki hy aur janay kab sy hy,,,,,,,,,

Degrian
06-10-2010, 09:56 AM
Ki mohabat to siasat ka chalan chorr dia,
Ham agr ishq na krtay to hakomat krtay..............

Degrian
06-10-2010, 09:59 AM
***Ham tere shehar main aye hain***

Ham tere shehar main aye hain musafir ki tarah
sirf ek baar mulaaqaat ka mauqa day day

merii manzil hai kahan mera thikana hai kahan
subah tak tujh se bichhar kar mujhe jaana hai kahan
sochane ke liye ek raat ka mauqa day day

apni aankhon main chupa rakhay hain juganu main nay
apani palakon pay saja rakhay hain aansu main nay
meri aankhon ko bhi barasaat ka mauqa day day

aaj ki raat mera dard-e-muhabbat sun lay
kap kapaatay howay honthon ki shikaayat sun lay
aaj izhaar-e-Khayaalaat ka mauqa day day

bhulana tha to ye iqaraar kiya hi kiun tha
bevafa tune mujhe pyaar kiya hii kiun tha
sirf do-chaar sawalaat ka mauqa day day
===============================

Degrian
06-10-2010, 10:45 AM
wo college ki yaaden, wo college ke din
Something to take you to Flash back

yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo
Bhale Chheen lo mujhse Arab ka Visa
magar mujhko lauta do college ki canteen
wo kam chaay ka pani vo teeKha samosaa
college ki canteen me hum sab the raja,

wo chaayewala jise saare kehte the Khawja
wo Kahwja ke hathon ki bi to chaay meethee
wo chupkese journal mein bheji hui chitthi
wo parh ke chitthi uska tilmilaanaa
wo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa...

kabhi dhoop mein apne ghar se nikalnaa
wo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa
wo lecture mein doston ki proxy lagaanaa
wo sir ko chidhanaa ,wo aeroplane udaanaa
wo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
wo orals ki khahani wo Lab-on ka kissaa....

bimaari ka detention ke time bahanaa
wo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa
wo seminar ke din pairoka chhatpatanaa
wo workshop mein din raat pasinaa bahanaa
wo exam ke din ka bechain maahaul

par wo maa ki Duain Teachar ka Bharosaa
colleg ki wo nabhool pane wali sargarmiyan
wo doston se thele pe pyaari si baatein
wo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa

wo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
Zindagi ka ek atoot hissaa...
wo college ki yaaden, wo college ke din
koi to louta de mere college ke din........

waseeb
06-10-2010, 10:55 AM
main teri yaad bhula do tow yaad kiya rakhon...?
dil o nazar se kuch dairr juda rakhon
yeh meray bas main nahi k tujhay khafa rakhon
nahi hai kuch meray zehan main siw iss k
main teri yaad bhula do tow yaad kiya rakhon...?

faraz_ameem
06-10-2010, 06:18 PM
Degrian gr8 work

faizanijaz
06-11-2010, 05:42 AM
ik shatir chor dil mera chura kr le gaya
pasbaan kambakhat sab sotay k sotay reh gae.........

faraz_ameem
06-12-2010, 05:49 AM
~ ♥ ~Ay Dost Hum Ne Tark-e-Taluq Ke Baad Bhi

Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhie Kabhie~ ♥ ~

faraz_ameem
06-12-2010, 05:50 AM
Jin Shamon Mai Tujhay Bhoolna Chahain

Wohi Raatain Azaab HotiHain

Apni Yaadon Ke Silsalay Roko

Meri Neendain Kharab Hoti Hain

faizanijaz
06-12-2010, 09:36 AM
tabeeboon say kya poochoon ilaaj-e dard-e-dil mohsin

marz jab zindagi khud ho dua kesi , dawa kesi........

faraz_ameem
06-12-2010, 08:46 PM
Samunder SE keh do apni mojain sanbhal kr RAkhayy Wasi

Zindagi Main Toofan Lanay K lyee log HI Kafi hai

faizanijaz
06-13-2010, 03:23 AM
mohsin to sari zindagi bas muntazir raha

mohsin ko aj tak koi mohsin nahi mila

faraz_ameem
06-13-2010, 12:31 PM
ہیں ہے نا اُمید اقبال اپنی کشت ویراں سے
ذرا نم ہو تو یہ مٹی بہت زرخیز ہے ساقی

waseeb
06-14-2010, 09:23 PM
Tu Mera Naam na puchha kar ...!!!

Tu Mera Naam na puchha kar

Main Teri Zaat ka hissa huun
Main Teri Soch mein shamil huun
Main Teri Neend ka qissa huun
Main Terey Khaab ka hasil huun

Main Teri Yaad ka mehavar huun
Main Teri Saans ka jhonka huun
Tu Manzar, Main Pas e Manzar huun
Main Lamha huun, Main jazba huun

Jazbey ka koi Naam nahi
Tu Mera Naam na puchha kar ...!!!

Poet Mohsin Naqvi
Book Reeza e Hurf

naine
06-15-2010, 06:33 AM
Ma logun se mulaqat k lamhay yaad rakhti hoon

Ma baten bhool bh jaun to lehjay yaad rakhti hoon

Sare mehfil nigahen mujh pe jin logun ki parti hain

Naghaon k hawaly se woh chehry yaad rakhti hoon

Zara sa hat k chalti hoon zamany ki riwayat se

K jin pe bojh ma daloon wo kandhay yaad rakhti hoon

dr_raja
06-15-2010, 11:57 AM
Ma baten bhool bh jaun to lehjay yaad rakhti hoon.... even me also :sad::sad:

faraz_ameem
06-16-2010, 04:27 PM
Yaro usi ky dam se hain maqtal ki ronaqain……

Qatil ko zindagi ki dua daina chahey..

Mohsin talu-e-ashq dalil-e-sahar bhi hai…..

Shab kat gai charagh bhuja daina chahey

faraz_ameem
06-16-2010, 04:29 PM
Khushk Tinkon sy ghar Bana rahy ho Mohsin!

Yeh janty bhi ho k Mazaaj-e-Yaar Aag jysa hai……

faraz_ameem
06-16-2010, 04:30 PM
Mohsin jo baat aat pe kehta tha mujh ko jaan

Aaj wo shaks h mujh ko be Jaan kar gya

waseeb
06-16-2010, 06:39 PM
Tujhe Dhoond lene k shoq may
Tere Ird gird ghomtay hain meri zindagi k mamle,
Tujhe Dhoond lene k shoq may maine apna ap gawa dia,

naine
06-18-2010, 12:10 AM
Mulaqatin musalsal hoon to dilchaspi nhe rehti

bary dilchasp hoty hain yeh be-tarteeb yaranay...!!!

faizanijaz
06-18-2010, 02:10 AM
http://images.orkut.com/orkut/photos/OgAAAPkpYZcBhRoCEubNBkbsfK56tsuAQsMtgbT0UtiMQf02bs zp-HLBcA_a0TPSFr6kCC4i6t8iPmO2gfefjJ_f8g0Am1T1UKiZVUi lk8wHzfpDeBo53ww5qhGr.jpg

faraz_ameem
06-18-2010, 04:18 PM
Dava bara hy ilm e riazi ma aap ko

tool-e-shab-e- Firaaq maap dejiye...!

Degrian
06-19-2010, 07:24 PM
***Youn koi chor dia karta hai apna kar ke***

Youn koi chor dia karta hai apna kar ke
Tu ne to mar dia hai mujhe tanha kar ke
Eik nazar daal kabhi mere Maseeha mujh pe
Tera kia jai ga beemar ko acha kar ke
Aee muhabbat ke marahil se guzarne wale
Tu ne aansoo deekha hai kabhi sitara kar ke
Main bahut jald bhawar mein tujhe yaad aaon ga
Itna khush bash na reh mujh se kinara kar ke

64

faraz_ameem
06-19-2010, 07:33 PM
aelaan_e_marg huwa to us ne bhi kaha mohsin

acha huwa mar gia aksar udass rehta tha..................!

faizanijaz
06-19-2010, 07:35 PM
hazaaron gham sahe lekin na aaya aankh me aansu
hum ahl e zarf hain peete hain chhalkaaya nahi krte.

faraz_ameem
06-19-2010, 07:36 PM
ye iss ka tarz e takhatub bhi khoob hai MOHSIN

ruka ruka sa tabassum khafa khafa aankhain

faraz_ameem
06-19-2010, 08:00 PM
http://forum.urduworld.com/photo/data/698/perdais_main_rehnay_walay.jpg

faizanijaz
06-19-2010, 08:05 PM
hmmmmmmm.........very good and heart touching............shaer ne bht achi akkaasi ki hai.........

faraz_ameem
06-20-2010, 06:38 AM
Mera dill teri muhabat ka hai jan bakhush deyaar

Mera seena teri hurmat ka hai sangeen hessaar

Mery mehboob watan tuj pe ager jaan ho nesaar

Mein ye smjhon ga thekany laga sarmyae tan

faraz_ameem
06-20-2010, 12:27 PM
Kaash hum khul k zindagi kartay
Umar guzri hai khud kushi kartay

bijlian iss taraf nahi aaiin
warna ham ghar main roshni kartay

kaun dushman teri tarah ka tha
aur ham kis say dosti kartay

ishq ijrat talab na tha warna
hum teray dar pay nokri kartay

iss tamanna main ho gaye roswa
hum b jee bhar k aashqi kartay

hussn aus ka na khul saka muhsin
thak gaye log shayeri kartay

faraz_ameem
06-20-2010, 12:31 PM
os Ki nafrat bhi mohabat hogi

mere baray mai wo sochay tu sahi….

os K sub jhoot bhi such hain MOHSIN

shart ye hai k wo bolay tu sahi

faraz_ameem
06-20-2010, 12:39 PM
zahid sharab peenay dy masjid mein bhaith kr

ya woh jaga bata jahan par Khuda nahi……….
(Ghalib)

Masjid Khuda ka ghar hY peenay ki jaa nahi

kafer k dil mein ja wahan pr Khuda nahi…..
(Iqbal

Kafir k dil se aya hun mein ye daikh kar

khuda mojood hy wahan, usy pata nh
(Faraz)

faraz_ameem
06-20-2010, 06:53 PM
Apni Yaadain Apni Baatain Le Kar Jana Bhool Gaya

Jane Wala Jaldi Main Mil Kar Jana Bhool Gaya

Mur Mur Kar Dekha Tha Us Ne Jate Raste Maein

Jaise Us Ne Kehna Tha Kuch Jo Wo Kehna Bhool Gaya

Waqt-E-Ruhsat Meri Aankhain Ponch Raha Tha Aanchal Se

Us Ko Ghum Tha Itna Ziada Khud Wo Rona Bhool Gaya

faraz_ameem
06-20-2010, 06:55 PM
Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz

Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay

faraz_ameem
06-21-2010, 07:01 AM
Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass

Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi

Degrian
06-23-2010, 11:13 AM
Tum Tu BHoOL GayE MaGAr

Main wOHi Houn JisSe Tum
Dost KaHa Karte THaY

Din Mein So BAr
Mera NaAm LiyA kArte THaY

Aaj kyA BaAt HAi
KyOun MujH sE KHaFa BaitHAy Ho
KyA KiSi Aur kO Dost BanA BaitHAy Ho

FasLe Itne Tu
PeHLe nA HowA Karte THaY

Main wOHi Houn JisSe Tum
Dost KaHa Karte THaY

Tum AGAr BHoOL GayE Ho
Tu kOI BaAt NaHi
ZaKHm Tu PeHLe BHi EsS DiL pAr
LaGa Karte THaY

Main wOHi Houn JisSe Tum
Dost KaHa Karte THaY


Dedicated to my blossom friend who is now-a-days lost in wondering world...

bdgogia
06-27-2010, 10:43 AM
Reply from Delhi-based (quite) old (but not antiquated or outdated) saraiki

Hawa jab tez chalti hai to gunche khil hi jaate hain
nai jab dost milte hai purane bhool jaate hain.

Also please remember that I studied in Urdu medium only upto class IV - so overlook errors.

bdgogia
06-27-2010, 01:16 PM
For faraz_ameem and professor -

Dil main dua-e-shok hai lab par dua nahin
Main muntezar qazq hun par aati qaza nahin
Roza namaz rakhta hun jo zamane ki rasm hain
Unka hi hai khuda kya mera khuda nahin ?

Decent
06-29-2010, 06:06 AM
'Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai'

tanzila hiader
06-29-2010, 11:32 AM
bewafai ka dukh nahe hy mje Tanzila
bas kch log aesy thay jin se umeden bht thein

waseeb
06-29-2010, 11:35 AM
Kia karain haalat hi kuch aisi hai waseeb
Warna sheer to hamain bhi bahut aate hain...

tanzila hiader
06-29-2010, 11:45 AM
Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz

Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay

faraz aap poet bh ho.......lagta hy Saiful Malook ko daikh k start ki hy!

faraz_ameem
06-30-2010, 07:38 AM
well poet faraz has died! this is Faraz Ameem as u can read

faraz_ameem
06-30-2010, 07:40 AM
Ho gaye hy dil ko teri yaad se nisbat e khas

Ab tu shaid h mayyasar kbhe tanhai ho

naine
07-01-2010, 05:26 PM
Toot gai neend khuwab wohi hai,

Door rehtay hain par ihteram wohi hai,

Jantay hain mil nahi saktay magar,

In aankhon main intezar wohi hai...!!!

faraz_ameem
07-03-2010, 05:40 AM
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhta hon tou aankhain bheeg jati hain

Hazaron mausmon ki hukmarani hae meray dil par
Wasi main jab bhi tanhha hon tou aankhain bheeg jati hain

faraz_ameem
07-03-2010, 06:05 AM
@tanzila hiader (http://www.dgkhan.org/forum/member.php?u=130):
Pass aate bhi nahi Door jate bhi nahi
Yaad karte bhi nahi Or bhulate bhi nahi

SAQI ajeeb shakhs se hai waasta mera
Jo milta bhi nahi or bicharta bhi nahi

faraz_ameem
07-03-2010, 06:10 AM
Koi Tallab B nahi Aur $ogwaar B hun,

Pukarta B nahi Aur Mehv-e-Intezar B hun.

Na jaany kitny iradon Main But Gia Hai Wajood,

Bhula B Dia Hai U$ay Or Beqarar B hun.....

faraz_ameem
07-04-2010, 10:33 AM
Kaba-o-quran ko daikha hai gilafoon mein liptay!!!

Ab main samjha hoon kay parday ki fazeelat kia hai

coolboy
07-04-2010, 01:21 PM
ہوا تھمی تھی ضرور لیکن
وہ شام بھی جیسے سِسک رہی تھی
کہ زرد پتوں کو آندھیوں نے
عجب قِصہ سُنا دیا تھا
کہ جس کو سُن کر
تمام پتے سِسک رہے تھے
جانے کس سانحے کے غم میں
شجر جڑوں سے اُکھڑ چکے تھے
بہت تلاشا تھا ہم نے تم کو
ہر ایک راستہ، ہر ایک وادی
ہر ایک پربت، ہر ایک گھاٹی
مگر کہیں سے تیری خبر نہ آئی
تو یہ کہہ کر ہم نے دل کو ٹالا
ہوا تھمے گی تو دیکھ لیں گے
ہم اس کے راستوں کو ڈھونڈ لیں گے
مگر
ہماری یہ خوش خیالی
جو ہم کو برباد کر گئی تھی
ہوا تھمی تھی ضرور لیکن
بڑی ہی مدت گُزر چکی تھی
ہمارے بالوں کے جنگلوں میں
سفیدی اتر چکی تھی
فلک پہ تارے نہیں رہے تھے
گلاب پیارے نہیں رہے تھے
وہ جن سے بستی تھی دل کی بستی
وہ یار سارے نہیں رہے تھے
مگر
یہ المیہ سب سے بالا تر تھا
کہ
ہم تمہارے نہیں رہے تھے
کہ
تم ہمارے نہیں رہے تھے
ہوا تھمی تھی ضرور لیکن
بڑی ہی مدت گزر چکی تھی

Decent
07-04-2010, 01:28 PM
chale vatan se to sab yaar haath malne lage


havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage
hu’ii jo shaam to jhakkaR ajiib chalne lage

nasheb-e-dar kii mahek raaste sajaane lagii
faraaz-e-baam ke mahtaab dil meN dhalne lage

vahaaN rahe to kisii ne bhii haNs ke baat na kii
chale vatan se to sab yaar haath malne lage

abhii hai vaqt chalo chal ke us ko dekh aayeN
na jaane shams-e-ravaaN kab lahuu ugalne lage

“Munir” bhuul se chehre pe ashk Dhalke haiN
ke jaise la’al samm-e-rang se piGhalne lage

faraz_ameem
07-05-2010, 06:47 PM
Shab e Hijran ki aziyat ki khabar kis ko hy

Meri gum naam muhabbat ki khabar kis ko hy

Kis ko ehsas mere shidat e jazbat ka hy

Meri halat, meri wehshat ki khabar kis ko ha

Kon veran makano ki Khabar rakhta hy

Meri ujri hui kismat ki khabar kis ko hy

Maen ne chup chaap muhabbat k sitam jhele hain

Meri is darja sharafat ki khabar kis ko hy

Kon aye ga aye dil ab tujh ko tasali daine

Teri udas tabiyat ki khabr kis ko hy........

naine
07-06-2010, 04:39 AM
Ye na samajh k mujh me Jurat-e-Swaal nahi,,,,
*
*
Faqat is baat sey darta hoon k tujhey La-Jwab na kar doon,,,,!!!

Princess
07-07-2010, 07:13 AM
ik main he nahi jurm e mohabbat ka khata-war......

halka sa tabassum bhi to shamil tha udher se......!!

faraz_ameem
07-07-2010, 09:39 AM
Nazar me zulmat badan me thandak jamal kitna ajeeb sa tha!
Main uski chahat me ghar se nikla to haal kitna ajeeb sa tha!
Na maine use khatoot likhe,
na us ne meri panah chahi,
Dono ko apni bekhudi pe malal kitna ajeeb sa tha!
Wo apni raaton me chand dekhe,
main apni raaton me usko sochon,
Badlte lamhon me soch ka ye visaal kitna ajeeb sa tha!
Safar akele hi kaat lo ge me ne pochha to ro diya wo,
Jawab kitna ajeeb sa tha sawal kitna ajeeb sa tha!

faraz_ameem
07-07-2010, 09:41 AM
Chupke se hum ne bheja tha ik gulab usey Mohsin,,,

Kushboo ne Saare shehar Mein Tamaasha bana diya,,,

Degrian
07-10-2010, 07:21 PM
دعا



یہ دعا ہے کوی گلہ نہیں
مِرے ہمنشیں
مری زندگی
وہ گُلاب ے جو کھِلا نہیں
میں یہ سوچتا ہوں
خدا کرے
تُجھے زندگی میں وہ سُکھ مِلے
جو کبھی مُجھے بھی مِلا نہیں

Degrian
07-11-2010, 07:26 AM
دل کو یہ حادثہ بھی عجیب ہونا تھا
غیر کو ہی اب اس کے قریب ہونا تھا
گردش زمانہ سے کروں کیسا شکوہ
اس تنہائی کا سبب مرا غریب ہونا تھا

faraz_ameem
07-11-2010, 11:23 AM
Ulfat ka jab maza ha k wo b hon be-qarar

Dono tarf ho aag barabar lagi hui

faraz_ameem
07-11-2010, 11:41 AM
Her Simt Ghum-E-Hijr Ke Toofaan Hein MOHSIN.
Matt Pooch Ke Hum Kitne Pareyshaan Hein MOHSIN.

Her Chehra Nazar Aata Hai Tasweer Ki Soorat.
Hum Sheher Ke Logon Se Bhi Anjaan Hein MOHSIN.

faraz_ameem
07-12-2010, 11:10 AM
Gharibon Ki Ye Basti Hai, Kahan Se Shokhiyan Laoon...

Yahan Bachhe To Rehte Hain, Magar Bachpan Nahi Rehta...

Princess
07-12-2010, 02:15 PM
FARZ KARO HUM AHLE WAFA HON........!!! ma fav ghazal :)

Farz karo hum ehl e wafa hon, farz karo diwane hon
Farz karo ye dono batein jhooti hon afsaney hon

Farz karo ye ji ki bipta, ji se jorh sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi hum ne chupai ho

Farz karo tumhein khush karne ke dhunde hum ne bahaney hon
Farz karo ye nain tumhare such much ke mae-khaane hon

Farz karo ye rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho
Farz karo is peet ke rog mein saans bhi hum per bhari ho

Farz karo ye jog bajog hum ne dhong rachaya ho
Farz karo bus yehi haqeeat, baqi sub kuch maya ho

Dekh meri jaan keh gaye bahoo, kaun dilon ki jaane hooo
Basti basti sehra sehra, lakhon kare diwane hooo

Shayar bhi jop meethi baani bol ke mun ko hartey hein
Banjarey jo oonche damon jee ke sodaey karte hein

In mein sachey moti bhi hein, in mein kankar pathar bhi
In mein athley paani bhi hein, in mein gehrey sagar bhi

Gauri dekh ke aage barhna, sub ka sucha jhoota hooo
Dubne wali doob gayi, wo ghara the jis ka kacha hooo

faraz_ameem
07-12-2010, 11:24 PM
Hùm Tèri Yäd k P¡Ñjråy me¡n Mùqåyyàd PÅnchh¡,,,
UrrñÅ ÇhÅhÉ¡n ß tö yè søch kr ùrr n¡ sÄktÄy,,,

Bäh¡r täñhå¡ k¡ f¡zÅ Høg¡,,,
Bè-rähåm wÄqt k¡ HÄwÅ Høg¡,,,

Køñ DÅlÄy GÅ Tèräy PyÅr kå Däñå Hùmkò,,,
Tùjh $è M¡lñåy kÅ m¡läy GÄ Ña BÅhÅnÄ Hùmkö,,,

D¡Ñ GùzrÅy GÄ kÄhÅn Is k¡ tö khÄbr H¡ Ñäh¡,,,
ShÅb KÅhÅÑ GùzrÅy g¡ Åpñä Tö kö¡ GhÅr ß Ñäh¡,,,

ShÅÄm-è-täñhä¡ Sè Yè QÄ¡d-é-SubÅh Bèhtär Hä¡,,,
Us ÄzÄd f¡zä sè Yè Jågäh Bèhtär HÅ¡,,,

Bs yèh¡ Söch kr Khùd kø sÅmjhätåy Hä¡n Äksär,,,
Téri yädøn Sè H¡ D¡l kø Béhlätåy Hä¡n Åksår,,,

Hùm Tèr¡ yÅd k P¡ÑjrÅy mè¡n mùqäyyäd PÄnÇhh¡...

faraz_ameem
07-14-2010, 03:22 AM
Gulon ko b nai aya abhi tak es tarha khilna......

Sawery jis tarha mai nind sy bedar hota hon...!!!!!!

naine
07-14-2010, 03:46 AM
Akeli waris hon main uski tamam nafraton ki Moshin

Jo shakhs sary Shehr main bant'ta hy Muhabatain Apni

naine
07-16-2010, 01:58 PM
Be-wajah Nahi rota Ishq main koi GHALIB

Jisay khud sy Barh k Chaho wo rulata Zaror hy

faraz_ameem
07-19-2010, 08:57 AM
Rooth jaty ho tou kuch or bhi haseen lagty ho

Ham ny yehe soch k tmko khafa rakha hy

Ameer Malik
07-22-2010, 07:15 PM
salam! humein dooosrooon kaa tau kucch yaad nhi rehtaa, kucch apnaa Aap ko sunaate hain,

kaasa e firaaq bhar gaya tau kiyaa ho ga?
main tumhaare hijr main mer gaya, tau kiya ho ga?
manzill pe Aa k pacchta rahaa hay koi raahi.
keh abb laot kr ghar gaya tau kiyaa ho ga?
nah rok mujhay qadmoon ki gard chooomne de.
nah tu idhar Aaya, nah main udhar gaya tau kiya ho ga?
nah chooom meri Aankhoon ko Aye musaafir e manzil.
meraa paymaan e sabr bhar gaya tau kiya ho ga?
boht zabt se thaam rakkha hay apni palkoon pe.
Hassan yeh samander biphar gaya, tau kiya ho ga.

Hassan Ameer Malik

faraz_ameem
07-22-2010, 10:48 PM
that's very nice...so we have a wonderful poet here. we love to have u active in Poet's corner.

faraz_ameem
07-26-2010, 04:27 PM
Muhabbat Say Fatah Kerty Hain Logon K Dilon Ko...!

Hum Aesay Sikandar Hain Jo Lashkar Nahi Rakhty...! :)

faraz_ameem
07-26-2010, 04:31 PM
Dre_Qafs Se Prey Jab Saba Guzarti Hai,
Kisey Khabar K Aseeron Pe Kiya Guzarti Hai,

Ta'alluqaat Kabhi Iss Qadar Na Tootey Thay,
K Teri Yaad Bhi Dil Se KhMily jahan se kisi ko kante, kisi k hise gulab thehre,

Jise Wo chahe nawazta hai,ye meray Rab k hisab thehre,

Bara Rahem-o-Karem hai wo jise b de de yeafa Guzarti Hai,

Woh Ab Miley Bhi To Milta Hai Iss Tarah Jaisey,
Bujhay Charagh Ko Chhoo Kr Hawa Guzarti Hai,

Yeh Ehl_e_Hijr Ki Basti Hai Ehtiyaat Se Uski marzi

Kisi k hise sawab likh de, kisi k hise azab therey

Ye apni taqdir se mila hai
kisi ko dariya kisi ko sehra

Koi trasta hai boond bhar ko kiChal,
Museebaton Ki Yahan Inteha Guzarti Hai,

Na Poochh Apni Anaa Ki Baghawatain "WASI"
Dr_e_Qabooliat Se Bach Kr Dua Guzarti Haisi k hise sailaab thehre

Koi to din me b sapne dekhe kisi se nendain bhi door bhagain

Kisi k hisse me ratjgay to kisi k hisse me khwab thehre...!

Degrian
07-29-2010, 07:28 PM
نگاہ یار جو شرمائی تو ہم ادا سمجھے
حسن جاناں کی اسے انتہا سمجھے
مگر تھا یہ لمحوں کا ساتھ پھر ویرانیاں
کوئی بتائے کہ دل اسے کیا سمجھے

bdgogia
07-30-2010, 10:54 AM
GHALIB -

Hui muddat ki Ghalib mar gaya par yaad aata hai - har ik baat pe yeh kehna ki youn hota to kya hota ?

bdgogia
07-30-2010, 10:56 AM
GHALIB -
Ghalib chhuti sharab ab bhi kabhi kabhi peeta hun roze-abro au shabe mahtab main ?

Ameer Malik
08-02-2010, 07:48 PM
salam!
gumraah hua jo chaand sooraj se dil lga baitha.
anjaan tha ishq se saari roshni ganwa baitha
ab bhataktaa phirta hay andheroon main nadaan
voh roshan duniya, voh jaah o jalaal sub lutta baitha.
paani sa shafaaf tha dil, phool sa nerm.
bn gaya pathar daagh e dil chehre pe sajaa baitha.
Hassan Ameer Malik

Lishoo
08-02-2010, 08:20 PM
WOO EK SHAKAS JANTI HO TUM


Jiss ki ankh mein nami si thi
Jiss ka chahra malool rahta tha
Wohi ju be tujhi k sabab
...Hamasha be asooll rahta tha

Woo ek shakas janti ho tum ??

Woo jisay neend bhout pyari thi
Woo ju ek khuwab k asar mein tha
Woo ju lailam raha manzil say
Wohi ju umer bhar safer mein tha

Woo ek shakas janti ho tum??

Jiss nay khushboo ki tamana ki thi
Aur roonday gulab paye thay
Jiss nay apni hi nakiyoon k ewaz
Rafta rafta azaab paye thay

Woo ek shakas janti ho tum??

Jiss ka deen bus mohabbat tha
Jiss ka iman bus wafain thein
Woo jiss ki soch bi pershan thi
Jiss k laab per faqt duwain thein

Wohi ulji hoye bechain si batoon wala
Mohabbaton say daar gia hai kal shaab
Hijer k dukh ko sahtaty sahtay
Woo shakas maar gia hai kal shaab

Aoo ab lash utaoo uss ki
Woo ju terey asar mein rahta tha
Aoo ab soog manaoo uss ka
Woo ju suraj ko qamer kahta tha

Ameer Malik
08-02-2010, 08:36 PM
@lishooo... nice one!

Lishoo
08-02-2010, 08:44 PM
Thanks for comment Ameer ji...
Aapki koi book hai poetry ki main parhna chahti hoon kia aap mujhe us ka link de sakte hain?

faraz_ameem
08-03-2010, 06:11 AM
Yun akelay mein usay ehd-e-wafa yaad aaye,
Jaisay banday ko musebat mein Khuda yaad aye...
Jaisay bhatkay howay panchi ko nashiman apna,
Jaisay apno ko bicharnay pay dua yaad aye..
Jaisay dhalti huwi shamoon ko sawera koi,
Jaisay pinjray may parinday ko fiza yad aye..
Jaisay borhay ko khayalat ma bachpan apna,
Jaisay bachay ko shararat pay saza yad aye..
Jaisay ujri howi basti ko zamana apna,
Jaisay tufaan ke theharnay pay dia yad aye..!!

faraz_ameem
08-04-2010, 09:58 AM
Ya rab kahen se bhaij dey duraj ka saiban

Badal ki aankh hai mere kachy makan pe...!

(dedicated to the victims of flood)

faraz_ameem
08-05-2010, 02:07 PM
Phir Aaj k Baad Ye Bazaar-E-Dil Nahi Lagna...

Khareed Lijye Saahib, Ghulam Aakhri Hy!:sad:

bdgogia
08-05-2010, 05:04 PM
Salam - faraz sahab
Ye dil bhi kya bazar main milte hain ? Hamarey daur main to na Raja Bazar tha aur na Rani Bazar -

faraz_ameem
08-05-2010, 05:33 PM
Salam - faraz sahab
Ye dil bhi kya bazar main milte hain ? Hamarey daur main to na Raja Bazar tha aur na Rani Bazar -

os wakt konsa bazar tha g.....?

bdgogia
08-06-2010, 03:42 PM
Salam -
us daur main - sirf Halwaiyon ki dukan aur anaj mandi yaad hai - gol bagh ke baad ek chauk tha - called tooliyanwala chauk jahan kuchh log shaam ke waqt kuchh
cheezen - soda water - baichte thae - jab Raja aur Rani aayenge to hi to unko cater karne ke liye bazar bhi khulenge - try to imagine - 20,000 ki abadi waley
shahr main kya demands ho sakti theen - haan Radio aa chuka tha second world war ke dauran - hamare 2 block ke rishtedar ke ghar main tha - jahan bijli bhi thi -
aur news kuchh is tarah ko hoti thi - aaj bartaniya ki faujen badi bahadari se peechhey hat gayi - yeh suna hua version hai par hai authentic !

faraz_ameem
08-10-2010, 04:07 PM
Wo pathar dil sahi, hamara bhi ye dawa hai........!!


Hmary lab jinhain choo lain wo pathar bol uthta hai........!!

faraz_ameem
08-10-2010, 04:08 PM
"Apny Halaat Ka Bhi Ehsaas Nahi Hai Mujh Ko FARAZ......

Maine auron se suna hy pareshan hoon mein"

Ameer Malik
08-10-2010, 08:57 PM
salam! faraaz Saahib! Maaah e Ramzaan shurroo ho gaya hay, Allah Allah krain. Eid k baad phir se pathroon ko Mooom krne waaala project phir se start krain gay. main bhi aap k saaath hoon ga.

Shaboo
08-10-2010, 08:58 PM
Wo pathar dil sahi, hamara bhi ye dawa hai........!!

Hmary lab jinhain choo lain wo pathar bol uthta hai........!!

Oi:ohmy:...censor karo is line ko:001_rolleyes:..tum tu abhi tak bache ho our anty ke saamne aisi baatein:sneaky2:..hmm..aaj kal ke bache!!!


faraz_ameem
"Apny Halaat Ka Bhi Ehsaas Nahi Hai Mujh Ko FARAZ......

Maine auron se suna hy pareshan hoon mein"

:ohmy:..kab se pareshaan ho tum??..yaar eik tu main tumhari shaadi fix karne ko itni betabi sey try kar rahi houn tu pareeshan tu mujhe hona chahie naa..waise lala ji ko tumhari fikr hain..bata nahin kuon:sneaky2:

Ameer Malik
08-10-2010, 09:03 PM
@ Shabbo ji! yeh sssari mehrbaaniyaan, Khuda khair kre. busss iss eid pe hi faraaz Saaahib ka kucch kr dijiuay warna yeh tau guy kaaam se. Aor Aap jaisi Aunty k hotay huay bhi agr logooon k haalaaat nah sudhre tau phir kiyaaa ho ga. Dil k doctor se bhi consult kijiuay ga, shaaid koi accha mashwara milll jaaey.

Shaboo
08-10-2010, 09:11 PM
@ Shabbo ji! yeh sssari mehrbaaniyaan, Khuda khair kre. busss iss eid pe hi faraaz Saaahib ka kucch kr dijiuay warna yeh tau guy kaaam se. Aor Aap jaisi Aunty k hotay huay bhi agr logooon k haalaaat nah sudhre tau phir kiyaaa ho ga. Dil k doctor se bhi consult kijiuay ga, shaaid koi accha mashwara milll jaaey.

Dil ke doctor se tu mujhe sharam ati hain naa:blushing:..un sey kaise aise baatein karoun:sad:..waise woh nazr bhi nahin arahe hain aaj kal:sad:..yaar choti Eid pe faraz ji ki engagement our bari Eid mein shadi..kya khayal hain??..Ladki miley yah na miley..ladki haan karein yah naa karein lekin shadi tu hogi hi rehgi:lol:...suno Ameer ji..tum abhi se laddo bana sharour karlo..ok

Ameer Malik
08-10-2010, 09:15 PM
Salam! lrki millay na millay , Shaadi tau ho gi??????????? gr br hay ji. Baaqi China main tau rotti daikhne ko tarass guy, Ladddo kahaan? Shabbo ji Kiyaa yaaad dillaa diya. Moooonh meeetha kiuay tau muddat guzar gui. Aa haaaah

Shaboo
08-10-2010, 09:22 PM
Salam! lrki millay na millay , Shaadi tau ho gi??????????? gr br hay ji. Baaqi China main tau rotti daikhne ko tarass guy, Ladddo kahaan? Shabbo ji Kiyaa yaaad dillaa diya. Moooonh meeetha kiuay tau muddat guzar gui. Aa haaaah

Kuon Degrian ji ne rotier nahin banane sikha abhi tak:ohmy:hmm..phir Lishoo ji ko impress kaise kare ka bechara:sneaky2:

Ameer Malik
08-10-2010, 09:28 PM
Salam! Dgerian ji aor Lishooo ji. khair tau hay na Shabbo ji. aor kiyaaa Lishoooo ji ko sirf Rottiyaaan bnaane waalay pasand hain kiya? my mercy to Dgerian. Baaqi agr dil k dr. se koi help nah millay tau Shaukat Munir se madad Maaangiuay ga. Baccha accha hay!

faraz_ameem
08-11-2010, 06:11 AM
Dil ke doctor se tu mujhe sharam ati hain naa:blushing:..un sey kaise aise baatein karoun:sad:..waise woh nazr bhi nahin arahe hain aaj kal:sad:..yaar choti Eid pe faraz ji ki engagement our bari Eid mein shadi..kya khayal hain??..Ladki miley yah na miley..ladki haan karein yah naa karein lekin shadi tu hogi hi rehgi:lol:...suno Ameer ji..tum abhi se laddo bana sharour karlo..ok

haye Allah mujhe laja ati hy...ye aap log kesi kesi baten kar rahy hain.....:lol:

faraz_ameem
08-11-2010, 06:12 AM
Ki muhabt to syasat ka chaln chhor dia'

Hum agr ishq na krtay to hakoomat kartay....! !

faraz_ameem
08-11-2010, 06:18 AM
Dedicated to Me..!

"Husan walon ko kiya zarorat hai sanwarne ki faraz,,,

Woh to sadgi mein bhi qiyamat ki ada rakhte Hain.

"shukria, shukria, ;)

Ameer Malik
08-11-2010, 10:03 AM
Salam!
ikk tere dard ki baaat challi tau daikho!
kitni ghataaoon ne mere ghar ko daikha.
Hassan Ameer Malik

faraz_ameem
08-14-2010, 01:43 AM
uski aadat wohe baat adhuri karna

Or phr baat ka mafhoom badalte rehna

Aag se sekh lia hay ye qareena hum ne

bujh bh jana to baari dair sulagte rehna

jane kis umar mein jaye gi ye aadat uski

roothna khud se to auron se ulajhte rehna...!

bdgogia
08-14-2010, 05:42 AM
Salam - saien
Tussan tey kamal kar dittey - before someone starts objecting to my praising you - samajhney waley samajh gayey hain ... na samjhey...usey Dr.Faraz ke pass bhej do !

bdgogia
08-14-2010, 05:54 AM
Salam - saien
Ye zubane-urdu bahut kamal ki cheeze hai - Faraz talking of Husnwale - but the word haseen would be more apt - ye husnwale reminds of tangeywale, gaadiwale,
aur paanwaley ? Do you have paan shops and paan lovers in dgk - I first noticed them at Karachi ! After you cross gol Bagh - towards wadi nahar - there used to
the biggest Halwai shop on the left side - do you still have such shop or other trades have overtaken - our halwais _Haldiram - have turnover running into thousand
crores ! It seems Dr.Faraz is pre-occupied with husn and haseenas (Fact - no complaint - umr hi ainjhi hai - hope will not mind) he has little time to acquaint me
with local areas of dgk !

bdgogia
08-14-2010, 06:01 AM
Salam - saien
In one Bombaiya film we had a duet song - nain tumharey mazedar ho janabe-aali - this reminded of the chaatwala who used to call out - aaya bara masaleydaar - calling your
lady love - janabe-aali ?

faraz_ameem
08-14-2010, 06:09 AM
Salam - saien
Tussan tey kamal kar dittey - before someone starts objecting to my praising you - samajhney waley samajh gayey hain ... na samjhey...usey Dr.Faraz ke pass bhej do !

dr.faraz? n kia samjha rahy hain g logun ko?

faraz_ameem
08-14-2010, 06:13 AM
Salam - saien
Ye zubane-urdu bahut kamal ki cheeze hai - Faraz talking of Husnwale - but the word haseen would be more apt - ye husnwale reminds of tangeywale, gaadiwale,
aur paanwaley ? Do you have paan shops and paan lovers in dgk - I first noticed them at Karachi ! After you cross gol Bagh - towards wadi nahar - there used to
the biggest Halwai shop on the left side - do you still have such shop or other trades have overtaken - our halwais _Haldiram - have turnover running into thousand
crores ! It seems Dr.Faraz is pre-occupied with husn and haseenas (Fact - no complaint - umr hi ainjhi hai - hope will not mind) he has little time to acquaint me
with local areas of dgk !

g paan wali shops to bht hain....n is name ka koi halwai nh hy idr! yahan pe Raheman halwai n pathr halwai famous hain...(or better to say famous tha, coz they have deceased now). ab unki shops chal rehe hain....shayd un k bachy chala rahy han

faraz_ameem
08-28-2010, 07:40 PM
Aur FARAZ chahyen kitni Muhabatain tujhe...?

Ma'on ne tere naam pe baChun k naam rakh diye!

bdgogia
08-29-2010, 05:39 AM
History to kuchh aur hi batati hai - dono fields main mashoor honey waley ka naam Jahangir tha - ishq main bhi aur hakoomat (insaaf karney) main bhi - ye zaroori
nahin ki ishq ke liye kuchh chhod diya jayey - awaiting verdict of aashiq Faraz on this point ?

bdgogia
08-29-2010, 05:46 AM
Yeh bhi shukr hai ki Lollywood (Lahore) main Faraz naam ka koi villain actor nahin hai filmon main - hamarey yahan ma'on ney apne bachon ka naam Pran rakhna band hi kar
diya - sirf is vajah se key voh sirf villian key hi role karta tha filmon main chahey zati zindagi main voh nihayat hi shareef insaan tha (incidentally, voh Lahor sey aaya tha post-l947 era main).

bdgogia
08-29-2010, 05:52 AM
Salam - http://www.youtube.com/watch?v=_2wX2TJ0b74......********************?

faraz_ameem
08-29-2010, 08:16 AM
History to kuchh aur hi batati hai - dono fields main mashoor honey waley ka naam Jahangir tha - ishq main bhi aur hakoomat (insaaf karney) main bhi - ye zaroori
nahin ki ishq ke liye kuchh chhod diya jayey - awaiting verdict of aashiq Faraz on this point ?

one thing to be very clear.........poet faraz was an aashiq! em nt even near to him

faraz_ameem
08-29-2010, 08:20 AM
Ye Ishq-o-Mohabbat, mehr-o-wafa sab rasmi rasmi batain hain

Har shaks ana ki masti mein bas apni khatir jeeta hy....!

bdgogia
08-29-2010, 10:01 AM
Salam -
It seems I have mixed up between two name sakes - Faraz_ameem and some poet Faraz - if so, then it is an error of judgement - a human error - to err is
human and to forgive divine - hope to be forgiven for this lapse !

faraz_ameem
08-29-2010, 01:15 PM
Salam -
It seems I have mixed up between two name sakes - Faraz_ameem and some poet Faraz - if so, then it is an error of judgement - a human error - to err is
human and to forgive divine - hope to be forgiven for this lapse !

hahahaha.......koi bat nh g :LOL:

faraz_ameem
08-29-2010, 01:27 PM
Raft-e-baham se kia na kahen gy dushman

Aashna jb tery pegham se jal jaty han...

Ameer Malik
09-05-2010, 08:33 AM
salam!
ikk urrte prinde ki khaatir neelaam huay majma e Aam main.
kiya btaain keh ab pre hain, ikk dasht e gumnaam main.
Hassan Ameer Malik

faraz_ameem
09-25-2010, 07:14 AM
Hum itne anaa prast hain k kehte hain haar kar. . . !!!

ManziL he ßadnaseeb thi jo hum ko na pa saki. . . !!!...

faraz_ameem
10-07-2010, 07:18 AM
naine
bdgogia
Angan mein ghane pairr ke nechay teri yaadein....

Maila sa laga deti han acha nahe karteen...!

Degrian
10-07-2010, 04:28 PM
اب وہ نوید ہی نہیں، صوتِ ہزار کیا کرے


اب وہ نوید ہی نہیں، صوتِ ہزار کیا کرے
نخلِ اُمید ہی نہیں، ابرِ بہار کیا کرے

دن ہو تو مہر جلوہ گر، شب ہو تو انجم و قمر
پردے ہی جب ہوں پردہ در روئے نگار کیا کرے

عشق نہ ہوتو دل لگی، موت نہ ہو تو خود کشی
یہ نہ کرے تو آدمی، آخر ِ کار کیا کرے

اہلِ ہوس بھی ہیں بہت، خیر نظر نہ آئیے
یہ تو مگر بتائیے، عاشقِ زار کیا کرے

موت نے کس امید پر، سونپ دئے ہیں بحر و بر
مُشتِ غُبار ہے بشر، مُشت غُبار کیا کرے

شمع بھی ہے رہینِ یاس، پھول بھی ہیں اُداس اُداس
کوئی نہیں ہے آس پاس، شمع ِ مزار کیا کرے

گریۂ شرم واہ واہ، فردِ عمل ہوئی تباہ
دیکھئے اِک یہی گناہ، روزِ شمار کیا کرے

اپنے کئے پہ بار بار، کون ہو روز شرمسار
مل گیا عذرِ پائیدار، قول و قرار کیا کرے

faraz_ameem
11-07-2010, 03:32 PM
mane pocha kia dhoop ma barish ho sakti hy....?

ye sun k woh rone lagi, aur dhoop ma barish hone lagi!

Degrian
11-15-2010, 02:16 PM
To my MAA!

woh bhi kiya khoob keh TERE paass guzari main ne!
Yeh bhi kiya EID keh TERI deed se Mehroom hoon main?

faraz_ameem
11-15-2010, 07:07 PM
To my MAA!

woh bhi kiya khoob keh TERE paass guzari main ne!
Yeh bhi kiya EID keh TERI deed se Mehroom hoon main?
...... :sad:

faraz_ameem
11-27-2010, 05:49 PM
Waqt-e-Rukhsat pe nishani jo talab ki to Kaha
Dagh kafi hy Judai ka Agar yaad Rahay

naine
12-10-2010, 04:13 PM
Lehjay ke saath woh badalta nigah bhe

Rasta badal ke hum ne unhay Heraan kar diya!

faraz_ameem
12-19-2010, 09:01 AM
Tairay ishq ki inteha chahta hon
Meri Sadgi daikh, kya chahta hon

faraz_ameem
01-21-2011, 04:46 PM
Tujhko Aankhon k Dreechy sy juda kaisy kroon

Too Meri zaat k Hr Pehloo say Byaan Hota Hay.

Degrian
02-05-2011, 05:15 PM
Kuch Aur Mangna Mere Mashrab Me Kufr Hai
La Apna Hath De Mere Dast-e-Sawal Me..........................!

Degrian
02-05-2011, 05:19 PM
wo mila to sadiyon baad bhi, mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rula diya, jise guftaggu mein kamaal tha

yawar saeed
02-09-2011, 06:34 AM
deedar ki talab ho to nazreN jama ke rakhna
aanchal ho ya naqab sirakta zaroor hai

Degrian
02-09-2011, 06:06 PM
تیرے بارے میں جب سوچا نہیں تھا
میں تنہا تھا مگر اتنا نہیں تھا
تیری تصویر سے کرتا تھا باتیں
میرے کمرے میں آئنہ نہیں تھا
سمندر نے ہمیں پیاسا ہی رکھا
میں جب صحرا میں تھا پیاسا نہیں تھا
منانے روٹھنے کہ کھیل میں ہم
بچھڑ جایں گے یہ سوچا نہیں تھا

Degrian
02-09-2011, 06:09 PM
Usay maloom hi kab tha
Wafaon kay hain ma'ni kya
Muhabbat kis ko kehtay hain
Judaii kaisi hoti hay
Qiamat kis ko kehtay hain

yawar saeed
03-29-2011, 10:29 AM
Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faraz,
Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare !!!!

Degrian
05-08-2011, 05:49 PM
Dil kaa har rishtah ...

Dekh kar tujh ko mujhe aur yaqeeN hotaa hai
dil kaa har rishtah falak par hee kaheeN hotaa hai

anjuman meiN bhee yeh dil goshah_nasheeN hotaa hai
KHaas hee hotaa hai jo dil ke qareeN hotaa hai

shor uThtaa hai jo is dil se, ko`ee 'aam naheeN
yeh to waawailaa sar e 'arsh e bareeN hotaa hai

yaad meHboob kaa aanaa to sa'aadat Thehree
yuN bhee KHush hotaa hai dil jabkeh HazeeN hotaa hai

zikr e KHubaaN pah tiraa chauNk ke kehnaa, "ai hai..
aik se baRh ke bhee kyaa dil meiN makeeN hotaa hai !"

aisaa har_jaa`ee naheeN hai tiraa 'aashiq, ya'nee
dil luTaataa ho jahaaN ko`ee HaseeN hotaa hai

naam teraa jo zabaaN par naheeN hotaa, dilbar
maah_ruKH, maah_liqaa, maah_jabeeN hotaa hai

maiN huN mushtaaq tire dard kee roodaad sunooN
dost kyaa sirf masarrat kaa ameeN hotaa hai ?

sirf alfaaz kaa aNbaar naheeN hai :Aamir:
rooH e eHsaas nah ho, she'r naheeN hotaa hai

Degrian
05-11-2011, 07:39 PM
Rehne Do Ke ab tum bhi mujhe parh na sako gay
Barsaat main kaghaz Ki tarha Bheeg chuka Hoon

________________************___________________

waseeb
06-03-2011, 04:27 PM
عشق پیدل بھی سواروں سے اُلجھ پڑتا ہے

ایک ہو کر بھی ہزاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
عشق پیدل بھی سواروں سے اُلجھ پڑتا ہے
سازش ِ زردی ِ موسم میں نہیں گر تُو شریک
کیوں بہاروں کے اشاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
کوئی الزام نہیں تم سے فقط پوچھا ہے
تیر کیا خود ہی شکاروں سے اُلجھ پڑتا ہے؟
خواہش ِ گل میں تو ملتی ہے سزا عجلت کی
یونہی دامن نہیں خاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
گاہے گاہے تجھے کیا ہوتا ہے اللہ جانے
بے سبب اپنے ہی یاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
ایک لمحے کے لیے چاند جو اُوجھل ہو جائے
دل وہ ضدی کہ ستاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
ظبط دریا کا بھی دیکھا ہے علی تاصف نے
بوجھ پڑتے ہی کناروں سے اُلجھ پڑتا ہے

Degrian
07-02-2011, 04:55 PM
مشکل وقت میں کون کسی کا سہارا بنتا ہے فراز
سوکھے پتوں*کو تو درخت بھی گِرا دیتے

bdgogia
07-03-2011, 07:31 AM
deedar ki talab ho to nazreN jama ke rakhna
aanchal ho ya naqab sirakta zaroor hai
Hota hai jisko kissiki talash ka dawa, kehteyn hain voh nigah bhatakti zaroor hai !
Lwkin, ajkal Faraz_Ameem kerey shughalaat vich mashghool hin ?

faraz_ameem
07-08-2011, 11:35 AM
bdgogia:
sain Faraz Ameem ithyn hy, tuadi activities monitor thendian pyn...khyal karaye! ;-)

faraz_ameem
07-08-2011, 05:08 PM
Bardasht nahi hoti ab mujh se ye sharakat Mohsin...!

To mujh ko yaad rakh ya duniya ko bhool ja...!

faraz_ameem
07-08-2011, 05:11 PM
Ajeeb kashmakash thi k jaan kis ko dein "qateel"

Tum bhi aa bethay thay aur mout bhi.

bdgogia
07-09-2011, 08:11 AM
bdgogia:
sain Faraz Ameem ithyn hy, tuadi activities monitor thendian pyn...khyal karaye! ;-)
Saien - sada qasoor kya hey ? Tuaadey naaal guftgu - saraiki zaban vich - agar aye aye ilzaam hey tain theek hai !
Vaisey, umr tuaadi hi hey activities karan di - assan tain twareekh dey puraney warqey hesey !

bdgogia
07-09-2011, 08:13 AM
Saien - there was someone in this forum repetedly asking sada tuaada rishta kya hai ? Umeed hey tussan unain di tassali kara deso ?

bdgogia
07-10-2011, 03:09 PM
bdgogia:
sain Faraz Ameem ithyn hy, tuadi activities monitor thendian pyn...khyal karaye! ;-)
Sien - tuaadey naal saraiki zuban vich gaal-baat karan vich koi pabandi hovey tain dasso - jab bhi aata hai mera naam terey naam ke saath, janey kyon log merey naam sey jal jaatey hain !

faraz_ameem
07-11-2011, 05:40 AM
hahahaha.....sain lagdy rishta puchan alen da apna rishta kithyn thei gye.... Shaboo: hahahahaha

faraz_ameem
07-11-2011, 11:38 AM
Bas Khatam Kro Ye Bazi-e-Ishq Ghalib

Muqadar K Hary Kabhi Jeeta nhe Kartay!

bdgogia
07-11-2011, 12:08 PM
Bas Khatam Kro Ye Bazi-e-Ishq Ghalib

Muqadar K Hary Kabhi Jeeta nhe Kartay!
Sien - Ghalib di hazar-jawabi tain baon mashoor hayi - he said - Ghalib vazifakhwar ho do Shah ko dua - voh din gayey kehtey theay naukar nahin hoon main !

bdgogia
07-11-2011, 12:12 PM
hahahaha.....sain lagdy rishta puchan alen da apna rishta kithyn thei gye.... Shaboo: hahahahaha
Sien - Urdu zuban vich hik jumla hey - Tu kaun main khamkhan ! Einday to zyada akhna munasib naien. My late grandfather used to ask me - tun moetbar lagha kharin ?

faraz_ameem
07-11-2011, 12:19 PM
sain tusan party change krendy pye way?

bdgogia
07-11-2011, 03:13 PM
sain tusan party change krendy pye way?
Sien - it is not easy to explain to you ki sada party-baazi vich kujh interest koinee. As some poet said - tifli gayi alamt-e-peeri ayan hui - hum muntazar hi rah gaye ahle-shabab key !

faraz_ameem
07-13-2011, 05:48 AM
nice poetry ....u rock!

bdgogia
07-13-2011, 03:19 PM
zindgi kuch bhii nhain hay tery bina koi us ko ja k batay na
nahain mill saktay bahrii dunia main tou khavab a k jaya na

pll sweet heart plll
Sienji - Ghalib wrote - Tafir neend na aaye raat bhar -aaney ka wada kae ke aaye na khwab main !

bdgogia
07-13-2011, 04:10 PM
Sien - medi darkhwast hey hik - agar swal aapni boli vich hey tain jawab vi saraiki vich hovna chahiyey ! I have a feeling that most people need to be prompted to use your own language to overcome their hesitation in asking/replying. Tussan medey naal mutafiq rai ho ?

faraz_ameem
07-16-2011, 08:10 AM
100 % muafiq hain sain tuady naal!

bdgogia
07-16-2011, 08:56 AM
100 % muafiq hain sain tuady naal!
Sien - lagdey koi misunderstanding hai - main tain "mutfiq" lafz da istmaal kita hayi ? Chalo - punjabi vich akhendan - kee farq painda hey !

faraz_ameem
07-16-2011, 07:09 PM
Mutafiq*

bdgogia
07-17-2011, 11:10 AM
Mutafiq*
Sien - in the absence of context it becomes difficult to appreciate especially in Urdu language where the entire meaning changes with prefix like Ba(with) and Be(without) - example - Bashaoor and Beshaoor - Jis jaam ko chhoo liya ho kissi be-shaoor nain - us jaam se sharab chhalakti zaroor hai !

faraz_ameem
07-17-2011, 06:32 PM
tuadi observation kamaal hay! hun kia aakh sagday hain....sakun te soch soch k likhna posi nd proof reading v karni posi k spelling mistake na hovay

bdgogia
07-18-2011, 03:12 PM
Sien - in the absence of context it becomes difficult to appreciate especially in Urdu language where the entire meaning changes with prefix like Ba(with) and Be(without) - example - Bashaoor and Beshaoor - Jis jaam ko chhoo liya ho kissi be-shaoor nain - us jaam se sharab chhalakti zaroor hai !
Sien - sadey Ustaad log maar-maar key parhendey hun baleyn koun - ajkal tain zamana badal gayey !

faraz_ameem
07-19-2011, 04:55 PM
aajkal zamana hy "maar nh pyar"

faraz_ameem
07-22-2011, 02:05 PM
Ya Rab shab-e-wisal ko itna taveel kar

K Taa- Hashr masjidon ma Azan-e-Sehar na ho

bdgogia
07-23-2011, 02:54 PM
Ya Rab shab-e-wisal ko itna taveel kar

K Taa- Hashr masjidon ma Azan-e-Sehar na ho
Sien - mubarak hovey ! Tussan vi shair bandey vendo ho !

faraz_ameem
07-24-2011, 05:43 PM
khair mubarak sain

faraz_ameem
08-05-2011, 08:34 AM
Na jany kiski duaon ka asar lagta hy...
Ma Doobta hun samundr uchaal deta hy

bdgogia
08-05-2011, 03:36 PM
Na jany kiski duaon ka asar lagta hy...
Ma Doobta hun samundr uchaal deta hy\
Sien - tuakoun kitti logain nay happy birthday akhye facebook tain ? - kujh idea hey ?

faraz_ameem
08-05-2011, 05:32 PM
Alhamulilah kafi logen nay vish kety...facebook di wall te tusan dithi h hosi

bdgogia
08-06-2011, 10:23 AM
Alhamulilah kafi logen nay vish kety...facebook di wall te tusan dithi h hosi
Sien - main hi dekh kay tain tuaadey kul swal kitey ki tussan kiti popular ho !

faraz_ameem
08-06-2011, 07:11 PM
hahaha...sain Allah da shukr hay bs dost yaad kr ghindin... ihya tay life hay

bdgogia
08-07-2011, 07:54 AM
hahaha...sain Allah da shukr hay bs dost yaad kr ghindin... ihya tay life hay
Sien - zindagi zinda dilli ka naam hay - murda dil kya khaq jiya kartey hain !

faraz_ameem
08-07-2011, 03:44 PM
jiya sain bilkul sahi akhye way

bdgogia
08-08-2011, 04:21 PM
jiya sain bilkul sahi akhye way
Sien - Hik tain aye dasso ki assan galt kadan aakhyey tuaadey channel tain ? Dujha, aye khyal rakhna parnijan de baad koi cheeze ghar-aali (shareeqa-hayat) di salah de bgair naien aakhni !

faraz_ameem
08-08-2011, 04:25 PM
haye Allah....ae wala parnijan da shosha chori bethy wy na?

bdgogia
08-08-2011, 04:53 PM
haye Allah....ae wala parnijan da shosha chori bethy wy na?
Sien - It is said that nobody can interfere with His will !

faraz_ameem
08-10-2011, 06:47 PM
sahi farmaye way sain

faraz_ameem
08-10-2011, 06:47 PM
ye meri ana ki shikast hy, na dawa karo na dua karo
Jo karo to bas ik karam karo, mjhe mere haal pe chor doo

na ma koh kan hun na ma Qais hoon, mujhe apni jaan aziz hay
Mujhe Tark-e-Ishq Aziz hay, Jo tmhy yakeen-e-wafa na hoo

Mujhe apne Fuqr pe naaz hay, Mujhe Maal-o-Zar ki talab nhe
Ma Gada nhe hun, faqir hoon, Ye karam Gadaon ma baant doo

Aur jo tmhare dil a shakook han, to ye ehd namy fuzool han
Jo mere khatoot han phar doo, Jo tmhare khat hain samait lo

Aur woh jo aek tarkash-e-wakt hay, abhi os ma teer bht se hain
koi teer tum ko na aa lagay, mere zakhm e dil pe na youn muskrao

bdgogia
08-12-2011, 03:03 PM
sahi farmaye way sain
Sien - I am always serious and correct but sometimes less serious but correct - that is how our generation used to be and continues ! Hun tussan dasso Humaira Channa saraiki hay ya naien ? I heard her program Heritage yesterday. She has a black mole on her cheek - mukhdey tain kala til hay, which reminds of evergreen song by Noor Jahan - terey mukhday da kala kala til ve ! Have you heard it or not ?

faraz_ameem
08-12-2011, 07:09 PM
ae gana na sunson te bia kehra sunson, sada bahar gany hin ae te

faraz_ameem
08-17-2011, 06:47 PM
Woh ask ban kay meri chashm-e-num ma rehta hay
Ajeeb shaks hay pani ke ghar ma rehta hay!!!!!!!!!!

bdgogia
08-18-2011, 04:40 PM
Sien - I am always serious and correct but sometimes less serious but correct - that is how our generation used to be and continues ! Hun tussan dasso Humaira Channa saraiki hay ya naien ? I heard her program Heritage yesterday. She has a black mole on her cheek - mukhdey tain kala til hay, which reminds of evergreen song by Noor Jahan - terey mukhday da kala kala til ve ! Have you heard it or not ?
Sien - tuaadi khamoshi neem-razamandi hay kya ?

bdgogia
08-18-2011, 04:43 PM
ae gana na sunson te bia kehra sunson, sada bahar gany hin ae te
Sien - tuaadey jwab adhurey kyoun hin ? Pasand vi hay ya naien ? Ainjha tain naien ki tuaadey vi mukhday tain kala til hay tain tussan blush karendey ho aye gana sunkay ?

bdgogia
08-18-2011, 04:46 PM
Woh ask ban kay meri chashm-e-num ma rehta hay
Ajeeb shaks hay pani ke ghar ma rehta hay!!!!!!!!!!
Sien - shayar tain hun tussan ban gayey ho - kujh saraiki vich vi farmao !

faraz_ameem
08-18-2011, 07:33 PM
Khumaar Aloodha Ankhon Ki Har Ik Junbash Hia Afsana
lahi Hum Unhin Dekhin K un KO Un ka Dekhna Dikhayn

Degrian
10-05-2011, 12:08 PM
تجھے بھلا کے جیوں ایسی بددعا بھی نہ دے

تجھے بھلا کے جیوں ایسی بددعا بھی نہ دے
خدا مجھے یہ تحمل یہ حوصلہ بھی نہ دے

مرے بیان صفائی کے درمیاں مت بول
سنے بغیر مجھے اپنا فیصلہ بھی نہ دے

یہ عمر میں نے ترے نام بے طلب لکھ دی
بھلے سے دامن دل میں کہیں جگہ بھی نہ دے

یہ دن بھی آئیں گے ایسا کبھی نہ سوچا تھا
وہ مجھ کو دیکھ بھی لے اور مسکرا بھی نہ دے

یہ رنجشیں تو محبت کے پھول ہیں ساجد
تعلقات کو ا س بات پر گنوا بھی نہ دے

bdgogia
10-05-2011, 02:47 PM
Sien - very good indeed. I heard something recently - har haseen apni kaneez thi, har farishta apna gulam tha - tum jaam ki baat kartey ho, sara maikhana apney naam tha !

bdgogia
10-05-2011, 02:49 PM
Khumaar Aloodha Ankhon Ki Har Ik Junbash Hia Afsana
lahi Hum Unhin Dekhin K un KO Un ka Dekhna Dikhayn
Sien - you need to be careful now that you are in serious profession of teaching !

faraz_ameem
10-06-2011, 05:30 PM
hahaha....sien hun tusan v chair ghino sakun, khair hy tuada v haq hay

bdgogia
10-07-2011, 02:51 PM
hahaha....sien hun tusan v chair ghino sakun, khair hy tuada v haq hay
Sien - hun tussan saraiki sien naien rahye - tussan Professor G ban gayey ho - tuaada rutba baon vadh gayey - so angraizi vich jwab ditta karo - baqi main koi galt gaal kiti hovey tain dasso ?

bdgogia
10-07-2011, 02:54 PM
Professor G - kujh confusion thi gaya lagdey ? Dujha google apney-aap thik thi gaya lagdey - shayad oukoun khabar lag gayi hey ki main hik wadey Professor naal hum-kalam rahnda ?

Degrian
10-14-2011, 08:23 PM
Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto..
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto...

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein...
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto...

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise....
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto....

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa....
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto....

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo....
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto.....

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai...
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto....

******_________________***********

bdgogia
10-15-2011, 07:35 AM
Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto..
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto...

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein...
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto...

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise....
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto....

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa....
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto....

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo....
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto.....

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai...
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto....

******_________________***********
Sien - very good indeed ! Have you heard Begum Akhtar's ghazal - Kuchh to halat nain mulzim hamain tehraya hai - aur kuchh aap bhi ilzaam diyey jaatey hain ? It is available on youtube.

faraz_ameem
10-15-2011, 03:00 PM
Yaad aatey hou to ho jati hain aankhen Num
Kiya Tasawur ma bh satany ki qasam khai hay?

bdgogia
10-15-2011, 04:15 PM
Yaad aatey hou to ho jati hain aankhen Num
Kiya Tasawur ma bh satany ki qasam khai hay?
Sien - After taking up the teaching assignment, you seem to have become more poetic than before - ye kiska assar hai ?

Degrian
10-16-2011, 08:13 PM
Sien - very good indeed ! Have you heard Begum Akhtar's ghazal - Kuchh to halat nain mulzim hamain tehraya hai - aur kuchh aap bhi ilzaam diyey jaatey hain ? It is available on youtube.
Not yet...but it sounds good so i will surely try to find and listen...It seems you like classic old ghazals which are amazing....

bdgogia
10-17-2011, 09:48 AM
Not yet...but it sounds good so i will surely try to find and listen...It seems you like classic old ghazals which are amazing....
Sien - during our era, entertainment meant Radio and cinema - Begum Akhtar expired in early 1973 !

faraz_ameem
10-19-2011, 10:02 AM
sien aesi koi baat nhe...aap ne Ghalib ka shair nhe sunya kafi din se...kia narazgi hay?

bdgogia
10-19-2011, 02:55 PM
sien aesi koi baat nhe...aap ne Ghalib ka shair nhe sunya kafi din se...kia narazgi hay?
Sien - Divan-e-Ghalib is a pricless collection and you must go through it to enjoy and start quoting and talking about Ghalib - Gulzaar is a famous film producer who made a 13-episodes serial on Ghalib and ghazals of Ghalib were sung by Jagjit Singh & Chitra. At the end of the story, Gulzar says - Ghalib had a disciple called Hali - whose grandson known as Khwaja Ahmed Abbas belonged to our era. How how connected l9th century poet with 20th century personality - if you have not heard his name, does not matter - he wrote the story of Raj Kapoor's famous film Bobby ! Hope, you also make your topics interesting in the classroom for your students ? There are enough ghazals of Ghalib sung by various singers available on youtube - one click away !

faraz_ameem
10-21-2011, 04:27 PM
sien ghazals te available hin..bt explain karan aaly jo koini koi...shair di tashreeh karan aal v koi lazmi hovna chahye na... ;-)

bdgogia
10-25-2011, 03:07 PM
sien ghazals te available hin..bt explain karan aaly jo koini koi...shair di tashreeh karan aal v koi lazmi hovna chahye na... ;-)
Sien - shuroo tain karo - samajh vi avan lagdi hay tain samjhavan valey vi mil vendey - Raj Kapoor da hik filmi gaana hayi - neechay ooper ooper neechay lahar chaley jeevan ki - nadaan hai jo baith kinarey poochhey raah watan ki - rasta chaldey saathi aapain mil venden - hik bya vi baon mashoor geet hay - Younhi koi mil gaya tha sarey raah chaltey chaltey - sirf gaana hi naien - zindagi di haqiqat hay !

faraz_ameem
03-20-2012, 09:17 AM
Mujh ko ye arzoo wo uthaa'een naqab khud...........
un ko ye intazar taqaza kary koi.......................

waseeb
03-20-2012, 01:09 PM
Log Kehte Hain Ke Muhabbat Ek Baar Hoti Hai,,,
Mein jub jub Usey Dekha Hun Muje Bar Bar Hoti hai,,,

waseeb
03-20-2012, 01:18 PM
Jaane Kaise Uss Ne Dil Chura Liya Apne Andaz_E_Wafa Se..

Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur MOHABBAT Ho Gayi..

bdgogia
03-20-2012, 01:59 PM
Mujh ko ye arzoo wo uthaa'een naqab khud...........
un ko ye intazar taqaza kary koi.......................
Sien - sada sunaya vya sher saku hi sunanday payey ho - saaf chhiptey bhi nahin, samnay aatey bhi naien, khub parda hai ki chilman say lagey baithey hain !

Lekin Ghalib da jwab kujh bya hayi - hum bhi tasleem ki khoo daleyngey - beniazi teri fitrar hi sahi !

faraz_ameem
03-22-2012, 02:27 PM
Ya rab shab-e-visal ko itna taveel kr
k taa-hashr Masjidon ma azan-e-sehr na hoo!!

waseeb
03-29-2012, 02:49 PM
Dua jo karoon teri"Zindagi"k liye,
Lamhe lamhe ki har "Khushi"k liye,

Khoob aaye "Bahaar"tere chahton main
Tu khush rahe puri"zindagi"k liye.

bdgogia
03-29-2012, 03:03 PM
Ya rab shab-e-visal ko itna taveel kr
k taa-hashr Masjidon ma azan-e-sehr na hoo!!
Ustad Ghalib farma gayn Diwane-ghalib vich - Ye na thi hamari kismat ki visal-e-yaar hota - agar aur jitey rehtay, to bhi intezar hota !

bdgogia
03-29-2012, 03:04 PM
Ya rab shab-e-visal ko itna taveel kr
k taa-hashr Masjidon ma azan-e-sehr na hoo!!
Ustad Ghalib farma gayn Diwane-ghalib vich - Ye na thi hamari kismat ki visal-e-yaar hota - agar aur jitey rehtay, to bhi intezar hota !

faraz_ameem
03-31-2012, 05:50 PM
ustad ghalib sahi farma gyen sain.. :D

waseeb
03-31-2012, 10:43 PM
woh mile bhi to fakat khuda k darbar me,
ab tum hi kaho ibaadat karte ya mohabbat ?

faraz_ameem
04-01-2012, 06:36 PM
Iss qadr roop hain yaroN kay keh khauf aata hai
Sar-e-maikhana juda aur sar-e-darbar juda